1

Thursday, August 18, 2011

Sadma To Hai Mujhe Bhi Ki Tujh Sey Judaa Hoon Mein


Sadma To Hai Mujhe Bhi Ki Tujh Sey Judaa Hoon Mein
Lekin Ye Sochta Hoon Ki Ab Tera Kya Hoon Mein

Bikharaa Para Hai Tere Hee Ghar Mein Tera Wajood
Bekaar Mahfilon Mein Tujhe Dhoodhta Hoon Mein

Main Khudkashi Ke Jurm Ka Karta Hoon Aiteraaf
Apne Badan Ki Qabr Main Kabse Gada Hoon Main

Kis Kis Ka Naam Laaon Zubaan Par Ki Tere Saath
Har Roz Ek Shakhas Nayaa Dekhta Hoon Main

Na Jaane Kis Ada Se Liya Tu Ney Mera Naam
Duniya Samjh Rahi Hai Ke Sub Kuchh Tera Hoon Mein

Ley Mere Tajrobon Se Sabak Ae Mere Raqib
Do Chaar Sal Umar Mein Tujhase Bara Hoon Mein

Jagaa Hua Zamir Woh Aaina Hai..MAAN..
Sone Se Pahale Roz Jise Dekhtaa Huun Mein.......







AMAN POETRY!!!