1

Showing posts with label Eid. Show all posts
Showing posts with label Eid. Show all posts

Friday, August 19, 2011

Eid

1)
Itne Majboor The Eid Ke Roz Taqdeer Se Hum
Ro Pade Milke Gale Apki Tasweer Se Hum




2)
Rahon Ki Ye Sham Aur Yadon Ka Ye Sama
Apni Palkon Main Hargiz Sitare Na Layeng Ge

Rakhna Jaroor Sambhaal Ke Tum Kuch Khushiyan Mere Liye
Main Laut Ke Aaaoun Ga Phir Eid Manayein Ge




3)
Dekh Kar Eid Ka Chand Ye Dua Mang Rahain hain
Aye Khuda Un Ankhon Main ye Chand Hamesha Chamke
Phichli Eid Main Jitna Yaad Kiya Tha Unhe
Ya Khuda Is Saal Eid Sirf Yaad Main Na Guzre
 
 
 
 
aMan lArKa

Hasrat hai tumhari deed karain

TUM AO TO HUM B EID KARAIN….
Hasrat hai tumhari deed karain
tum ao hum b eid karain..

khch dair to man ko chain mile
khcuh roz to man k phool khilain…


kehte hian eid ki amad hai
ab log khch takeed karain



TUM AO TO HUM B EID KARAIN….

tum se ye aik guzarish hai
ye apne dil ki khahish hai…

aik bar milo aik bar milo
her bar yehi takeed karain…



TUM AO TO HUM B EID KARAIN….

mana k hum dewane hain
sub bato se anjane hain

jub apne hi begane hain
kia gero se umeed karain


TUM AO TO HUM B EID KARAIN….




aMan lArKa

Eid Ka Din

–==Eid Ka Din–==
Is Eid Per
Wo Mere Saath nahi
Magar Wo
Uski Yadain
Us Ki Batain
Sab Mujhe Yaad Hai
Us ne Mujhe
Yaad Kia Hoga
Phir Mere Khialon Mein
Khooye Huey
Tasawar Ke
Kisi Lamhe Mein
Dheeray Se Kaha Hoga
~~~EiD MuBaRaK~~~!




aMaN lArKa

Sunday, September 12, 2010

                                          EID MUBARAK

Monday, August 9, 2010

Tumhein Yaad to Ho Ga

Tumhein Yaad to Ho Ga

Jab Hum Ikathay Chand Raat Ko
Chand Dekhty Huey!
Eik Doosre Se Ehad Nibhaane ka Waada
Karte Huwey
Ik Diya Jalaatay thay aur
Aaj Mein Akela Diya Jala Raha Hoon
Aur
Agar Tum Bhi Diya Jala Rahi Ho Aaj Isi Waqt ?
To Meri Tarah Afsurda Na Hona
Kiyun ke
Ho Sakta Hai Diya Jalatay Waqt Tumharay Saath Baitha
Tumhara Shareek-e-Ham Safar
Pooch na Le Tum Se Tumhari Udaasi Ka Sabab
Aur Yeh Bhi To Ho Sakta Hai Na
Ke Yeh Sub Kuchh
Meri Khush Fehmi Hi Ho
Aur Tum Apne
Shareek-e-Hamsafar ke Saath
Keheen Aur.... ?
Aur Yeh Chand Raat Ki Ujaar Raat ki Tanhai Sirf Mere Liyay
Aur Yeh Eid k Pahaar Din Ki Aziyyat Sirf Mere Liyay...


"2 Ajnabi dost"
(LOVE's PaiN)

AYYY CHAND


"2 Ajnabi dost"

Silent Tears

A BEAUTIFUL POEM ON EID

A Beautiful Poem On Eid

*******************
Ab ke Phir Eid Ka Din Aa Puhncha hai
Neelay Akash Pe nikla hai abhi eid ka chand
Bakhat Waloon ke Liye Eid Ka Sandes Liye
bhujti ankhoon ke liye deed ka sandes liye
Saray chehroon se thakan door hoi jati hai
hijer waloon ki chuban door hoi jati hai
chand nikla hai shab-e-wasl ka sandes liye
kehkashan bakhat musafir ke paltnay ki naveed
her Kiran hath main thamay ayee
Chand nikla hai…
mager hasrat se…
Chand ki simat meri ankhien taki jati hain
chand akash se takta hai mager…Ankh chura laita hai
meri ankhoon ki nami aur sawaloon ki chuban
us se dekhi nahi jati shayad
meri go-yaee maira sath nahi de pati
ke main us se teri babat pochoon
Us se pochoon ke bata mairay muqadar ke najoom
Kin andheeroon main hoye toot ke reeza reeza
Chand Ankhoon Ko chura Ker mujhe se
Janne kion tall raha hai yeah sawal
kia mairay bakhat main ab ke bhi nahi
Eid Ka Lamha…Wasaal….
Kiya Palat ker nahi aye ga wo jannay wala???
Kia Meri Eid Faqat Ab ke bhi…
ik Aur naya din ho gi????
din bhi aisa jo Qayamat Sa ghuzarta hai sada
Durd ke rang meri ankhoon main jo bharta hai Sada
ba-kali, durd, jalan, aur sulagti Yadien
Durd ko aur jaga detien hain
Karab ko aur bharha detien hain
Meri be-rang hatheeli pe Dua ki titli
Akhri Saans ki hud per puhnchi
Meri umeed ke saray jugnu
bhujti ankhoon main bhujhay jatay hain
Hont hansnay ke huner se Aari
Dil dharknay ki Riwayat Se Juda
Ankh se khawab alag
mar gaye harf-e-dua
toti sansoon ke hontoon per
Faqat Sard See …Aaah
Dobtay dil se bikherti See Sada Ati hai
Kash…. Aye Kash…. Ke yeah eid Ka Chand
apnay hathoon yeah sandes deta
mujh se kehta ke huwa hijer tamam
Aye mairay chand teri Eid ki shab mairay naam
Ab Faqat mairay naam
kash yeah sandes millay
Kash….
neelay Akash Pe nikla hai abhi Eid ka chand
Dil ke Akash Pe dobay ga abhi eid ka chand
dil ke akash se totay ga abhi Eid ka chand


"2 Ajnabi dost"
Silent Tears