1

Showing posts with label Birth Day. Show all posts
Showing posts with label Birth Day. Show all posts

Saturday, July 16, 2011

aaj tumhari saalgirah hay ,

jalti sham'mein roshan chehray,
kaamni laryan nazuk sihray,
nargis, bayla, motia, laala,
johi, champa, or banafshaa,
her koi shaad hay naa,
aaj tumhari saalgirah hay,
daykho humko yaad hay na,


hum to sirf dua go log,
khaak o mehr ka kia sanjog,
paas rahein ya door rahein,
vehshat say ranjoor rahein,
mehfil to aabad hay na,
aaj tumhari saalgirah hay ,
daykho humko yaad hay naa,


tark-e-ta'aluq khoob kia,
dil per kaari waar saha,
nouch di ko'npal chahat ki,
aas na rakhi raahat ki,
dil mehway faryad hay naa,
aaj tumhari saalgirah hay ,
daykho humko yaad hay naa,


kesay kesay khuab bunay thay,
rang birangay phool chunay thay,
saalgiarah ka cacke katy ga,
haath pay unkey haath rahy ga,
khuab her ik barbaad hay naa,
aaj tumhari saalgirah hay ,
daykho humko yaad hay naa,

Thursday, June 2, 2011

Each new day may reminds you many
things, to do but one thing above all.
Bring such a joy to others through your,
Care and Love , that you are just a kind
of personality that this world needs lot
more of !!!!!
HAPPY BIRTHDAY
AND MANY HAPPY RETURNS OF THE DAY

BIRTHDAY

Tum Ko Yaad hi Nhi Rehti
Hamari choti choti Khushi
yaan

Tum ko to Shayad.....!
Ehsaas bhi nahi Hay...
K Ham
Kitne Betaab Huey They Ek Din,,,,
K Shayad....
Ab Tum Kaho Ge
" HAPPY BIRTH DAY TO YOU"
Magar Hamaari muntazir Sama.aton mein
Tumhare iss Jumle Ka rass na Tapka
Magar Aao, Suno.....
Mehsoos kaaro,,,,,
Hum Tum Se Kehte hain
Apni Tamam Tar Shidatton K Saath
" HAPPY BIRTH DAY TO YOU"

BIRTHDAY

On This special Day,
A Star Of pure Love Appeared 2 be My Gift ... My Present & My Future
Which is You...!!!
I'm Very Thankful For All The Joy & happiness You Brought Into My Life
Happy Birthday My Love and have a wonderful life.....!!!

BIRTHDAY

Sun likes the Sunday
Moon likes the Monday
I like only one day
And that is your birthday.
Happy birthday.....

Thursday, August 5, 2010

~* BIRTH DAY *~

Tum Ko Yaad hi Nhi Rehti
Hamari choti choti Khushiyaan

Tum ko to Shayad.....!
Ehsaas bhi nahi Hay...
K Ham
Kitne Betaab Huey They Ek Din,,,,
K Shayad....
Ab Tum Kaho Ge
" HAPPY BIRTH DAY TO YOU"
Magar Hamaari muntazir Sama.aton mein
Tumhare iss Jumle Ka rass na Tapka
Magar Aao, Suno.....
Mehsoos kaaro,,,,,
Hum Tum Se Kehte hain
Apni Tamam Tar Shidatton K Saath
" HAPPY BIRTH DAY TO YOU"


"2 Ajnabi dost"
PAin iS LovE

Paanchvii'n SaaLGiraH

[ JudaaYi Ki Paanchvii'n SaaLGiraH ]

Jii main he
Aaj ki shab us kay liye jaag kay kati jaaye
w0h jo aankh0n say paray
Ajnabi dais ki gum'naam hawaoon main baithi he ..
kiYa mohab'bat kay liye yeh bhi zaroori he
keh main ~~
us kay chehray ko
khad-o-khaal main la kar daikh0n ??
sach to yeh he
keh mujhay yaad nahi,
kay uski jabeen kaisi thi ??
hoont kaisay thay !!
badan kaisa tha !!
aankhain kaisi thii'n !!
Bas ~~ yeh yaad he
keh w0h
jaisi nazar aati thi
us say kahii'n achi thi ..
( yeh maah-o-saal ka toofaa'n bohat zalim he.
w0h agar pass bhi hoti to kisay khabar he kaisi hoti !! )
y0n to har raat
Mere dil par giraan guzarti he
phir bhi aey bhoolay h0we !!
Tu hi bata
Gham ki zanjeer bhala
jagtay,, s0chtay rehnay say kahan kat'ti he !!
Yeh jo aahat si abhi
nikhat-e-gul ki tarah phaili he
Tere qadmoon ki sadaa lagti he ..
Jab kabhi koi jahaaz
Yaad ki shamma liye
Gham ki be'chain hawa0n say guzarta he
Toh dil
shaam-e-furqat ke tasavvur say laraz uthta he..
Shaam-e-furqat !!
Jo haqeeqat he
Magar ~~ khwaab numa lagti he ..
Chaand jab abar ke tukroon par safar karta he
Toh y0n lagta he !!
Mai bhi ik abar ka tukra h0n
Jisay ~~
tera visaal ,,
tera ik lamha-e-visaal
daaimi hijr ke
undooh-e-musalsal kay aevaz baar nahi ..
Aey mujhay abar kay tukrray ki tarha choor kay janay walay !!
Tere bakhshay howay lamhay kay aevaz
kiYa mujhay daina paDa
is say sarokaar nahi !!
" Paanchvieen SaLGirah JudaaYi ki " ~~
Aaj manaoon shab bhar ..
Shaam-e-furqat ki tarah ~~
ashk baha0n shab bhar ..
Phir !!
Airport ki raiLing par
tika kay kohni
Tere rukhsat ka samaa'n
Dihaan main laoon shab bhar ..
Tu jo roti h0wi aankh0n say paray
Ajnabi dais ki gum'naam hawa0n main kaheen baithi he . . . /


"2 Ajnabi dost"
MiSSinG U GurIyA