1

Thursday, August 18, 2011

faasley aisey bhi hongey ye kabhi socha na tha


faasley aisey bhi hongey ye kabhi socha na tha
saamney baitha tha mere, aur vo mera na tha

vo, ke Khushboo ki tarah phaila tha mere chaar soo
main usse mehsoos kar sakta tha, chhu sakta na tha

raat bhar us ki he aahat kaan mein aati rahi
jhaank kar dekha galli mein koi bhi aaya na tha

aks to maujood they, par aks tanhaai ke they
aaina to tha magar us mein tera chehra na tha

aaj us ne dard bhi apney alehda kar liye
aaj main roya to mere saath vo roya na tha

ye sabhi veeraaniyaan us ke judaa hone se theen
aankh dhundhalaai hui thi, shehr dhudhlaaya na tha

yaad kar ke aur bhi takleef hoti thi...MAAN...
bhool jaane ke siva ab koi bhi chaara na tha.........





AMAN POETRY!!!