1

Thursday, July 28, 2011

Hijr key mausam main


Hijr key mausam main, yeh barish ka barasna kaisa !
aik sehra sey samandar ka guzarna, kaisa ?

aey meray dil na paraishaan ho, tanha ho kar!
woh teray saath chala kab tha, bicharna kaisa?

Jab shajar saath na de, haar samajh bethay toh !
zard pattoon ka hawaoon sey, ulajhna kaisa ?

chal muhabbat kay samandar main utar jatay hain !
pyar karna hai toh phir maut sey darna kaisa ?

Bewafa kehnay ki bhi jurat na karna aey dil.E..FARHAN !
us nay iqraar kia kab tha, mukarna kaisa ? 





AMAN POETRY!!!